Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bhigi Palke Utha
|
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi | Ghulam Mohammad | ||||
Do Gunde (1959) | Majrooh Sultanpuri | ||||||
pritam ye mat janiyo tose bichhudat mohe chain
jaise ban ki lakdi sulgat hu din-rain
bhigi palke utha meri jaan gam naa kar
din judayi ke ye bhi gujar jayenge
jab talak teri banhe milengi mujhe
tab talak ye gesu bikhar jayenge
bhigi palke utha
mere tan ki kali gham se jal gayegi
mere tan ki kali gham se jal gayegi
rang utar jayega dhup dhal jayegi
rang utar jayega dhup dhal jayegi
aa padi hai kuchh aisi uljhan magar
phir bhi tere divane kidhar jayenge
bhigi palke utha
jindagi hai to mil hi rahenge gale
jindagi hai to mil hi rahenge gale
ja rahi hain bahare toh jane bhi do
ja rahi hain bahare toh jane bhi do
do hi din to mile jindagani ke din
kya ye do din bhi yu hi gujar jayenge
bhigi palke utha meri jaan gam naa kar
din judayi ke ye bhi gujar jayenge
jab talak teri banhe milengi mujhe
tab talak ye gesu bikhar jayenge
bhigi palke utha