The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Bharat Maa Ki Aankh Ke Taro
0
Asha Bhosle Ravi
Bahu Beti (1965) Sahir Ludhianvi Patriotic Songs
Lyrics of Bharat Maa Ki Aankh Ke Taro - भारत माँ की आँख के तारो

bharat maa ki aankh ke taro nanhe munne raj dularo
jaise maine tumko sawaya waise hi tum desh samwaro
bharat maa ki aankh ke taro

ye jo hai ek chota sa basta
kismat ke phulo ka guldasta
karishan hai isme ram hai isme budhmat or islam hai isme
ye basta isha ki kahani ye basta nanak ki bani
isme chupi hai har sachai apna sukh oron ki bhalai
is baste ko sheesh nawao, is baste ko sheesh nawao
is baste pr tan man baaro
bharat maa ki aankh ke taro

chhod ke jhuthi jate pate sab se sikho achi bate
apna kisi se bair na samjho
jag me kisi ko gair na samjho
aap padho oron ko padhao ghar ghar gyan ki jyot jagao
naw jiwan ki aas tumhi ho banta hua itihas tumhi ho
jitna gehra andhiyara ho
jitna gehra andhiyara ho utne unche deep ubharo
bharat maa ki aankh ke taro

ye sansar jo humne sajaya ye sansar jo tumne paya
is sansar me jhooth bahut hai
julm bahut hai, loot bahut hai
julm ke aage sar ka jhukana har ek jhuth se takra jana
is sansar ka rang badalna unch or neech ka dhang badalna
sara jag hai desh tumhara
sara jag hai desh tumhara sare jag ka roop nikharo
bharat maa ki aankh ke taro nanhe munne raj dularo
jaise maine tumko samwara waise hi tum desh sawara
bharat maa ki aankh ke taro nanhe munne raj dularo