Lyrics of Bhaiya Mere Rakhi Ke Bandhan Ko Nibhana (Sad Version) - भईया मेरे राखी के बंधन को निभाना
bhaiya mere rakhi ke badhan ko nibhana
bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
dekho ye nata nibhana nibhana, bhaiya mere
bhaiya mere rakhi ke badhan ko nibhana
bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
bhaiya mere
ye din ye tyohaar khushi ka
paavan jaise nir nadi ka
bhai ke ujle maathe pe
behan lagaye mangal tika
jhume ye saavan suhaana
suhaana bhaiya mere
bhaiya mere rakhi ke badhan ko nibhana
bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
bhaiya mere
baandh ke hamne resham dori
tumse vo ummid hai jodi
naazuk hai jo saans ke jaise
par jivan bhar jaaye na chodi
jaane ye saaraa zamaanaa
zamaanaa, bhaiya mere
bhaiya mere rakhi ke badhan ko nibhana
bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
bhaiya mere
shaayd wo saavan bhi aaye
jo bahna ka rang na laaye
bahna parayi desh bashi ho
agar wo tum tak pahunch na paaye
yaad ka dipak jalana
jalana bhaiya mere
bhaiya mere rakhi ke badhan ko nibhana
bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
bhaiya mere