Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bhagwan Tumhari Duniya Me
|
Mohammed Rafi | Husnlal Bhagatram | ||||
Aan Baan (1956) | Qamar Jalalabadi | ||||||
bhagwan tumhari duniya me kyun dil thukraye jate hai
kyun chahne walo ke arma matti me milaye jate hai
bhagwan tumhari duniya me
kyun is bedard zamane me
kyun is bedard zamane me lakho hi mahal aashao ke
lakho hi mahal aashao ke
har roj banaye jate hai har roj mitaye jate hai
bhagwan tumhari duniya me
hoti hai burai ki puja
hoti hai burai ki puja is teri andhi duniya me
aur nek insa aansu ki tarah najro se giraye jate hai
bhagwan tumhari duniya me
o jivan bagiya ke mali teri bagiya ki ye rit hai kya
teri bagiya ki ye rit hai kya
jo phul khile sehre ke liye arthi pe chadaye jate hai
bhagwan tumhari duniya me kyun dil thukraye jate hai
kyun chahne walo ke arma matti me milaye jate hai
bhagwan tumhari duniya me