Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bhagwan Mil Jaye Samne
|
Asha Bhosle, Mohammed Rafi | Chitragupt | ||||
Shiv Bhakta (1955) | Gopal Singh Nepali | Religious Songs | |||||
bhagwan mil jaye samne hamko kabhi jo rah me
tujhko mita de phir hami ya tu mitata ja hame
jise banana use mitana kaam tera
mitne wale phir kyu lenge naam tera
mitne wale phir kyu lenge naam tera
jise mitana use banana kaam tera
sabr karenge hum le lekar naam tera
sabr karenge hum le lekar naam tera
dharti ka ghar bhara phul se taro se aasman ka
sagar bhar gaye bhar na saka tu pet ek insan ka
dharti ka ghar bhara phul se taro se aasman ka
sagar bhar gaye bhar na saka tu pet ek insan ka
jab ho jaye sara khel tamam tera
mitne wale phir kyu lenge naam tera
jise banana use mitana kaam tera
mitne wale phir kyu lenge naam tera
insano ke liye ujala karta ghar aasman ka
insano ke liye ujala karta ghar aasman ka
sukh dekar mukh dekhe tu hi dukh dekhe insan ka
prabhu dukh dekhe insan ka
bhara hua matlab se khel tamaam tera
sabr karenge hum le lekar naam tera
jise mitana use banana kaam tera
sabr karenge hum le lekar naam tera
chand dikha kar tune samjha dunia sari ban gayi
par jhopdiyo me teri poonaam kyu andhiyari ban gayi
chand dikha kar tune samjha dunia sari ban gayi
par jhopdiyo me kyu poonaam kyu andhiyari ban gayi
insano ke ghar se dur makaam tera
mitne wale phir kyu lenge naam tera
jise banana use mitana kaam tera
mitne wale phir kyu lenge naam tera
tu jo kuch bhi likh deta hai ban jati takdir hai
tu jo kuch bhi likh deta hai ban jati takdir hai
teri daya ho to dunia me phir kaahe ki peer hai
prabhu phir kahe ki peer hai
kyu ro roke naam kare badnaam tera
sabr karenge hum le lekar naam tera
jise mitana use banana kaam tera
sabr karenge hum le lekar naam tera