Lyrics of Bhagwan Ek Insan Ki Sunata Hu Kahani - भगवान एक इंसा की सुनाता हूँ कहानी
bhagwan ek insan ki sunata hu kahani
ashqo ki jabani hai, kuch aaho ki jabani
ashqo ki jabani hai, kuch aaho ki jabani
itni hi ummido se, sajai hai duniya
mai khush tha ke khud maine
banai hai ye dunia
lekin teri duniya ne, jala di meri duniya
yaad aate hai wo din to
sulagta hai kaleja
thamta nahi aaho ka dhua
sine ke andar
rukti nahi roke se, in ashqo ki rawani
bhagwan ek insan ki sunata hu kahani
ujdi hui basti ka, nisha tak nahi milta
wo aag lagai, ke dhua tak nahi milta
har geet khushi ka hai, sisakti hui fariyad
sine se lagaye huye firta hu
bas ek yaad
hotho pe kuch aahe hai
to aankho me kuch aansu
le deke yahi rah gayi
ek sari nishani
bhagwan ek insan ki sunata hu kahani
bhagwan mujhe dekh
ke mai hak pe lada hu
sacchai ka deepak liye
aandhi me khada hu
andhiyaro se imaan ki
baate na chhupengi
thak jayega raahi
kabhi raahe na thakengi
sach bol, kahi dil tera
patthar to nahi hai
chupchap jo sunta hai tu
insan ki kahani
ashqo ki jabani hai, kuch aaho ki jabani
bhagwan ek insan ki sunata hu kahani
ashqo ki jabani hai, kuch aaho ki jabani