Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bhagat Ke Rakhwale Bhagwan
|
Suman Kalyanpur | Ajit Merchant | ||||
Ram Bhakt Vibhishan (1958) | Saraswati Kumar Deepak | ||||||
bhagat ke rakhwale bhagwan
nibhate hai bhakti ki aan
paap jab karta hai abhiman
bhumi par aate daya nidan
jagat ke rakhwale bhagawan
jagat ke rakhwale bhagawan
avadhpuri ke suryavansh ki
ye anmol kahani
kaushlya kekayi sumitra
thi dashrath ki rani
raghukul ki shobha juthi thi
mata ki mamta ruthi thi
janam liya bhagwan ne
bankar dashrath ki santan
pathar bani ahilya taari
raghuvar kripa nidhan
bhagat ke rakhwale bhagawan
bhagat ke rakhwale bhagawan
fir raghunandan sita ke sang
avadhpuri me aaye
honharini ek raat me
kaise khel khilaye
raghupati sihasan chhod chale
vaibav se mukhda mod chale
raghukul ki reet nibhate
chahe jaye pran
bhagat ke rakhwale bhagawan
bhagat ke rakhwale bhagawan
lakhan siya ke sath ayodhya
chhod chale raghurayi
panv pakhar prabhu ki naiya
ganga teer lagai
prabhu jivan nav khivaiya hai
dukhiyo ke dheer dharaiya hai
heen heen kevat ko prabhu ne
diya nirala maan
bhagat ke rakhwale bhagawan
bhagat ke rakhwale bhagawan
jab jungle me mangal jaga
jab basant muskaya
mayakaal ban panchvati me
parbhu uchalta aaya
jise dekh nandni lalchayi
sun re dekh le raghurai
apni leela dikha rahe
prabhu jinko hai sab gyan
bhagat ke rakhwale bhagawan
bhagat ke rakhwale bhagawan