Lyrics of Bezubaan Phir Se - बेजुबान फिर से
jaan le ki kismat ne baante hai raahon mein kaante
aur main bhi hu ziddi aaun kismat ke aade
naa roke rukun, tu gira main uthun
pinjre todkar failaunga main par
tujhme jitna hai zor tu laga le magar
hans ke kat jaayega, na jhukega ye sar
jaan le ki kismat ne baante hai raahon mein kaante hai
naa roke rukun, tu gira main uthun
regzaaron mein aag hai jitni
hai lahu kholta mera inn ragon me phir bhi
khaaksaron ko, khaak hi kaafi
raas mujhko hai khamoshi meri
bezubaan kab se main raha
begunaah sehta main raha
bezubaan kab se main raha
begunaah sehta main raha
jaan le ki kismat ne baante hai raahon mein kaante hai
ki ki kismat ne baante hai raahon mein kaante hai
sau sawaal hain, sau hai laanate
mere taraano pe lagi hai kaalikhe
yeh aag sapno ki, raakh haathon mein
sooni aankhon mein chalti umeed hai
na mila mauka, na mili maafi
keh do kitni sazaa aur baaki
bezubaan kab se main raha
begunaah sehta main raha
bezubaan kab se main raha
begunaah sehta main raha
jaan le ki kismat ne baante hai raahon mein kaante hai
main bhi hu ziddi aaun kismat ke aade
naa roke rukun, tu gira main uthun
pinjre todkar failaunga main par
tujhme jitna hai zor tu laga le magar
hans ke kat jaayega, na jhukega ye sar