Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bedardi Mere Saiya Shabnam Hai Kabhi Shole
|
Asha Bhosle | Ravi | Minu Mumtaz, Johnny Walker | |||
Chaudhvin Ka Chand (1960) | Shakeel Badayuni | Mujra Songs | |||||
bedardi mere saiyaan shabnam hai kabhi shole
andar se bade zaalim baahar se bade bhole
andar se bade zaalim baahar se bade bhole
bedardi mere saiyaan shabnam hai kabhi shole
andar se bade zaalim baahar se bade bhole
matlab ki rasiya hai koi inhe kya samajhe
ye khud bhi nahi apne bas inko khuda samajhe
aa.. dam bhar me ye tola hai dam bhar me ye maasha hai
dam bhar me ye tola hai dam bhar me ye maasha hai
banate hai tamashaai aur khud hi tamaasha hai
aur khud hi tamaasha hai
aa.. rah rah ke badalte hai din raat naye chole
andar se bade zaalim baahar se bade bhole
andar se bade zaalim baahar se bade bhole
har ik ada mere baalam ki nirali hai
baate hai mohabbat ki dil pyar se khaali hai
aadat hai badi chanchal surat hai badi saada
aadat hai badi chanchal surat hai badi saada
aaj isako diya dhoka kal usase kiya waada
kal usase kiya waada
aa.. harajaai hai harjaai inse koi kya bole
andar se bade zaalim baahar se bade bhole
bedardi mere saiyaan shabnam hai kabhi shole
andar se bade zaalim baahar se bade bhole