Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bedard Zamana Kya Jane
|
Prempal | Lachhiram Tamar | ||||
Guru Dakshina (1950) | Sad Songs | ||||||
bedard zamana kya jane
kyun dard ke maare rote hain
wo paas the lekin door huye
wo paas the lekin door huye
aashao ke darpan chur huye
ab huk jigar me uthati hai
aur nain humare rote hain
bedard zamana kya jane
kyun dard ke maare rote hai
majhdhaar khiwaiya chhod gaya
jivan ka sahara tod gaya
jivan ka sahara tod gaya
ummid ki naiya doob gayi
hum baith kinare rote hain
bedard zamana kya jane
kyun dard ke maare rote hain
bedard zamana kya jane
kyun dard ke maare rote hain