Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bechain Dil Khoi Si Nazar
|
Lata Mangeshkar, Geeta Dutt | Shankar Jaikishan | Helen, Cuckoo | |||
Yahudi (1958) | Shailendra | Dance Songs | |||||
bechain dil khoyi si nazar
tanhaaiyo me shaam-o-sahar tum yaad aate ho
bechain dil khoyi si nazar
tanhaaiyo me shaam-o-sahar tum yaad aate ho
dil nahi pahalu me rah gayi do aankhe
dil nahi pahalu me rah gayi do aankhe
jaane kya-kya hamse kah gayi do aankhe
jaane kya-kya hamse kah gayi do aankhe
jaane kya-kya hamse kah gayi do aankhe
sunsaan raato me aksar
jab chaand pe jaati hai nazar tum yaad aate ho
bechain dil khoyi si nazar
tanhaaiyo me shaam-o-sahar tum yaad aate ho
dil to divaana tha ham bhi kya kar baithe
dil to divaana tha ham bhi kya kar baithe
marz jaane kya tha kya dava kar baithe
marz jaane kya tha kya dava kar baithe
marz jaane kya tha kya dava kar baithe
ik aah thandi si bhar kar
unase koyi kah de jaa kar tum yaad aate ho
bechain dil khoyi si nazar
tanhaaiyo me shaam-o-sahar tum yaad aate ho
ham to ye samajhe the khatm hai afsana
ham to ye samajhe the khatm hai afsana
uth chuki hai mahafil rah gaya viraana
uth chuki hai mahafil rah gaya viraana
uth chuki hai mahafil rah gaya viraana
hamko na thi lekin ye khabar
khud ham kahege rah-rah kar tum yaad aate ho
bechain dil khoyi si nazar
tanhaaiyo me shaam-o-sahar tum yaad aate ho