The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Barso Pahle Kahna Tha
0
R D Burman
Jai Shiv Shankar (1990) Anand Bakshi
Lyrics of Barso Pahle Kahna Tha - बरसों पहले कहना था

barso pahle kahna tha
barso ke baad kaha
barso pahle kahna tha
barso ke baad kaha
itne baras tak jane dil ko
kaise yaad raha
ki main tumse mohabbat karta hu
main tumse mohabbat karta hu
barso pahle kahna tha
barso ke baad kaha
itne baras tak jane dil ko
kaise yaad raha
ki main tumse mohabbat karti hu
main tumse mohabbat karta hu
na na tumse mohabbat karti hu
main tumse mohabbat karta hu

kaise guzre ye saal kaho
kaise guzre ye saal kaho
kuch apne dil ka haal kaho
mitti dalo sab baato par
mitti dalo sab baato par
ab koi pyar ki baat karo
ho teri kasam hardam karta
main ye fariyad raha
itne baras tak jane dil ko
kaise yaad raha
ki main tumse mohabbat karta hu
na na tumse mohabbat karti hu
main tumse mohabbat karta hu
na na tumse mohabbat karti hu

jitne din tumse dur raha
jitne din tumse dur raha
bas utne din main jiya nahi
dil maine kisi ko diya nahi
dil maine kisi ko diya nahi
phir pyar kisi se kiya nahi
main bechain raha betaab raha
barbaad raha
itne baras tak jane dil ko
kaise yaad raha
ki main tumse mohabbat karta hu
na na tumse mohabbat karti hu
main tumse mohabbat karta hu
na na tumse mohabbat karti hu

insan nahi do parwat the
insan nahi do parwat the
jo apni jagah se hile nahi
kyonki hum dono mile nahi
kyonki hum dono mile nahi
khilne the ye phool jo khile nahi
ho teri yaado se lekin ye dil abad raha
itne baras tak jane dil ko
kaise yaad raha
ki main tumse mohabbat karta hu
na na tumse mohabbat karti hu
main tumse mohabbat karta hu
na na tumse mohabbat karti hu
barso pahle kahna tha
barso ke baad kaha
itne baras tak jane dil ko
kaise yaad raha
ki main tumse mohabbat karta hu
na na tumse mohabbat karti hu
main tumse mohabbat karta hu
na na tumse mohabbat karti hu
main tumse mohabbat karta hu