Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Baras Baras Badali Bhi Bikhar Gai
|
Lata Mangeshkar | Anil Biswas | Motilal, Geeta Nizami, Suraiya | |||
Gajre (1948) | Gopal Singh Nepali | ||||||
kab aaoge, kab aaoge
kab aaoge, baalma
baras baras badli bhi bikhar gayi
ab kab aaoge, baalma
ab kab aaoge, baalma
pashchim se purab aake megh gaye jhum ke
tum nahi aaye papi pardesh ghum ke
megh gaye jhum ke
taras taras ankhiya bhi nikhar gayi
taras taras ankhiya bhi nikhar gayi
ab kab aaoge, baalma
ab kab aaoge, baalma
tum ko bedard baalam mujh se ji churana hai
meri umange nayi, dard purana hai
mujh se bhi purana hai
ubhar ubhar mehndi bhi utar gayi
ubhar ubhar mehndi bhi utar gayi
ab kab aaoge, baalma
ab kab aaoge, baalma
baras baras badli bhi bikhar gayi