Lyrics of Bam Bam Bambai, Bambai Humko Jam Gayi - बम बम बंबई, बंबई हमको जम गयी
bam bam bam bambai, bambai humko jam gayi

dekh ke is bambai ka nzara dil ki dhadkan tham gayi

chanchal shok hasino ki dekho yaha bharmar hai
husan ke sare rango ki chopati pe bahar hai
sone chandi ke upar apni huyi ye bastiya
in galiyo in uncho me rahti hai filmi hastiya
unko to ye swarg lage jinki jeb me mal hai
mara mara phirta hai jo kadka kangal hai
lakho ki roji roti lakho ki takdir hai
yaha jo aaya gaya nahi shehar nahi zanzir hai
hum jo aaye is ngari me apni to biyat ram gayi
bam bam bam bambai, bambai humko jam gayi
bam bam bam bambai, bambai humko jam gayi
unchi unchi buildinge rahne ko par ghar nahi
itne sare raste chalne ko par dagar nahi
roti ki na bat kar pani bikta hai yaha
dharti sari bik chuki bech rahe hai aasma
paisa sabka maibap, paisa hi bhgwan hai
paise ke pichhe pichhe bhag raha insan hai
line me lat jati hai insano ki zindagi
dekho jine ke liye mar gaya kitna aadmi
dekh ke aisi halat baiya aankh hamari nam gayi
bam bam bam bambai, bambai humko jam gayi
bam bam bam bambai, bambai humko jam gayi
dekh ke is bambai ka nzara dil ki dhadkan tham gayi
bam bam bam bambai, bambai humko jam gayi
bam bam bam bambai, bambai humko jam gayi
zam gayi aaha bambai zam gayi waha re baiya
zam gayi bambai