Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bakhuda Ab To Mujhe Koi
|
Hariharan | Hariharan | ||||
Hazir - 2 (2014) | Ghazals | ||||||
bakhuda ab to mujhe koi tamanna hi nahi
phir ye kya baat hai ki dil kahi lagta hi nahi
sirf chehre ki udaasi se bhar aaye aansu
dil ka aalam to abhi aapne dekha hi nahi
vo karam karte hai ya hum pe sitam karte hai
is nazar se unhe humne kabhi dekha hi nahin
yu to rone se bahut dil ko suku milta hai
ishq khuddar ko lekin ye gawaaraa hi nahi
yaad rakha hai to bhul bhi saktaa hu tujhe
dil pay mera bhi haq hai sirf tera hi nahi
dost ko dost samajhna to hai ik baat shameem
humne dushman ko dushman kabhi samajha hi nahi