Lyrics of Bajao Zor Se Tali (Version 1) - दिल वाले बोसे उडाओ मद्धम सी हंसी गिराओ
dil waale bose udaao maddham si hansi girao
buth kyun bane pade ho rindh sa mahek jaao
kaath me gaad do killi maachis par ghis do tilli
yu to pheeki thi hawa maine kaifi kar daali
paunchh ghaflat ki laali bajao zor se taali
gam ko de dena gaali bajaao zor se taali
taali ke baad taali bajaao zor se taali
hai saat makaan sargam ke inme rehte sufi hai
mere yaar hai, dildaar hai
rooh ki tafri, zam-zam ki gaar hai
har dhun ko ishqe waali phasle baati hai
hotho se sehla-sehla nazini ki baaliya kaati hai
ha bulla ke harfo par marne wali bawli matwali
bajao zor se taali
ha Shehad ki shehar waali bajao zor se taali
taali ke baad taali bajao zor se taali
Soch khud ka hunar dil se nikalti ye daad hai
Soch khud ka hunar dil se nikalti ye daad hai
ye qawalli wali baat hai purani dilli ki baraat hai
gila nahi jo mila nahi kaaba tarif ka dikha nahi
gila nahi jo mila nahi kaaba tarif ka dikha nahi
bulbul tha maajhi mera kaala majhi
nahi ban paaya main phir se haaji
bula lo khuda, bula lo qaazi
nikaah ke liye khudai ko kar lunga main raazi
main mehfil ka mawaali bajao zor se taali
paunchh ghaflat ki laali bajaao zor se taali
ha taali ke baad taali bajao zor se taali