Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bahut Shukriya Badi Meherbani
|
Asha Bhosle, Mohammed Rafi | O P Nayyar | Joy Mukherjee, Sadhana | |||
Ek Musafir Ek Hasina (1962) | S H Bihari | Romantic Songs | |||||
bahut shukriya badee meherbanee
meree jindagee me hujur aap aaye
kadam chum lu ya ke aankhe bicha du
karun kya yeh meree samaj me na aaye
bahut shukriya badee meherbanee
karun pesh tum ko najarana dil ka
najarana dil ka
ke ban jaye koyee afasana dil ka
khuda jane aisee suhanee ghadee phir
khuda jane aisee suhanee ghadee phir
meree jindagee me palat ke na aaye
bahut shukriya badee meherbanee
khushee toh bahut hai magar ye bhi gam hai
khushee toh bahut hai magar ye bhi gam hai
ke yeh sath apna kadam do kadam hai
magar yeh musafir duwa mangta hai
magar yeh musafir duwa mangta hai
khuda aapse phir kisee din milaye
bahut shukriya badee meherbanee
mujeh dar hai mujh me gurur aana jaye
lagu jhumne me surur aa na jaye
kahee dil na meraa ye tarif sun kar
kahee dil na meraa ye tarif sun kar
tumhare bane aur mujeh bhul jaye
bahut shukriya badee meherbanee