Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bahut Diya Dene Wale Ne
|
Mukesh Chand Mathur | Roshan | ||||
Soorat Aur Seerat (1962) | Shailendra | Philosophical Songs | |||||
bahut diya dene wale ne tujhko
bahut diya dene wale ne tujhko
aanchal hi na samaaye to kya kije
bit gaye jaise ye din rainaa
baaki bhi kat jaaye dua kije
jo bhi de de malik tu kar le qubul
jo bhi de de malik tu kar le qubul
kabhi kabhi kanto me bhi khilate hai phul
waha der bhale hai andher nahi
ghabara ke yu gila mat kije
bahut diya dene wale ne tujhko
aanchal hi na samaye to kya kije
denge dukh kab tak bharam ke ye chor
denge dukh kab tak bharam ke ye chor
are dhalegi ye raat pyare phir hogi bhor
kab roke ruki hai samay ki nadiya
ghabara ke yu gila mat kije
bahut diya dene wale ne tujhko
aanchal hi na samaye to kyaa kije
bit gaye jaise ye din raina
baki bhi kat jaye dua kije