Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Baharo Ne Kiye Sajde Phoolo Ne Sar Jhukaya Hai
|
Mukesh Chand Mathur | Iqbal Qureshi | ||||
Bombay By Night (1976) | Upendra | Masti Bhare Geet | |||||
baharo ne kiye sajde phulo ne sar jhukaya hai
baharo ne kiye sajde phulo ne sar jhukaya hai
badi fursat se malik ne hansi tumko bnaya hai
baharo ne kiye sajde
tere galo ki surkhi ko churane ko gulab aaye
tera nazuk badan jiski bala lene shabab aaye
wo gore hath jisme sangemarmar ki saphedi hai
ghata sawan ki zulfo me teri aaram karti hai
hasina o hasina hasina o hasina
baharo ne kiye sajde phulo ne sar jhukaya hai
badi fursat se malik ne hansi tumko bnaya hai
baharo ne kiye sajde
tera chehara zami ka chand bankar jagmgaya hai
magar kyu chandani ko apne ghunghat me chhupaya hai
wo aankhe aisi hai jaise gazal ke pahle do misre
teri masumiyat par baithe hai andaz ke pehare
hasina o hasina hasina o hasina
baharo ne kiye sajde phulo ne sar jhukaya hai
badi fursat se malik ne hansi tumko bnaya hai
baharo ne kiye sajde
pharisto ki bhi tauba tod de ye teri angdayi
teri katil jawani ban gayi phulo ki ruswai
wo teri chal jiska khud kayamat bhi pata puchhe
teri katil adaye bhaye jisko kab khuda puchhe
hasina o hasina hasina o hasina
baharo ne kiye sajde phulo ne sar jhukaya hai
baharo ne kiye sajde phulo ne sar jhukaya hai
badi fursat se malik ne hansi tumko bnaya hai
baharo ne kiye sajde