Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bahaaro Se Puchho Mere Pyar Ho Tum
|
Mukesh Chand Mathur, Suman Kalyanpur | Sardar Malik | ||||
Meraa Ghar Mere Bachche (1960) | Hasrat Jaipuri | Romantic Songs | |||||
baharo se pucho mere pyar ho tum
tumhare tarane ham ga rahe hai
najaro se pucho mere pyar ho tum
tumhare liye hum jiye ja rahe hai
baharo se pucho
kabhi mai papiha tumhare liye hu
kabhi mai chakora tumhare liye hu
aji mai bhi koyal tumhare liye hu
mohabbat me pagal tumhare liye hu
mere pyar ne hi diya rup tumko
ye gumche tumhe jo najar aa rahe hai
nazaro se pucho
agar jan tum ho to hum bhi to dil hai
bhare hai hazaro mohobbt ke arma
agar tum ho sagar to mai bhi hu nadiya
he dono dilo me mohabbat ke tufa
mere pyar ka to kinara nahi hai
tere pyar me hum bahe ja rahe hai
baharo se pucho
ye udi ghataye masti lutaye
jaise tumhari sharabi nigahe
ye thandi hawa bharti hai aahe
samjho inhe tum hamari sadaye
fizao me dekho ye badal nahi hai
ye aachal tumhare lahra rahe hai
baharo se pucho mere pyar ho tum
tumhare tarane ham ga rahe hai
najaro se pucho mere pyar ho tum
tumhare liye hum jiye ja rahe hai
baharo se pucho