Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Badle Badle Mere Sarkaar Nazar Aate Hain
|
Lata Mangeshkar | Ravi | Waheeda Rehman | |||
Chaudhvin Ka Chand (1960) | Shakeel Badayuni | Sad Songs, Roothna Manaana | |||||
badale badale mere sarkaar nazar aate hai

ghar ki barbaadi ke aasaar nazar aate hai

badale badale
dube rahte the mere pyaar me jo shaam-o-sahar

mere chehare se na hatti thi kabhi jinki nazar
meri surat se wo bezaar nazar aate hai
meri surat se wo bezaar nazar aate hai
ghar ki barbaadi ke aasaar nazar aate hai
badale badale mere sarkaar nazar aate hai
badale badale
mere malik ne mohabbat ka chalan chhod diya

karke barabaad mere dil ka chaman chhod diya
phul bhi ab to mujhe khaar nazar aate hai