Lyrics of Bada Hai Banka Mera Devriya Pyara Ye Nandalal - बड़ा है बांका मेरा देवरिया प्यारा ये नन्दलाल
bada hai banka mera devariya
pyara ye nandlal
ae aaj hai dhany janamdin iska
are do re nagaro pe tan
mathura me janme gokul me khele
mathura me janme gokul me khele
phir aaye dwaarika dham
shayam ji ka kya kahna
gopiyo ke pyar me makhan chura ke
duniya me hue badnam
shayam ji ka kya kahna
kya kahna o ho kya kahna
shayam ji ka kya kahna
bachpan me the bade natkhat ye kanha
natkhat ye kanha
bas inka dhanda tha sabko satana
sabko satana
gagriya patakte kabhi, chunariya jhatakte kabhi
kunjh me bhatakte kabhi, ghat par matakte kabhi
gagriya patakte kabhi, chunariya jhatakte kabhi
kunjh me bhatakte kabhi, ghat par matakte kabhi
o adhbut the sab inke kaam
shayam ji ka kya kahna
mathura me janme gokul me khele
phir aaye dwaarika dham
shayam ji ka kya kahna
kya kahna o ho kya kahna
shayam ji ka kya kahna
bahar se kuch hai bhitar se kuch hai
hamre ye govind gopala
hamre ye govind gopala
gori gori gudiyo se briz balao pe
lattu bade the ye lala
lattu bade the ye lala
gore badan jaha jaha, tirchhe nayan jaha jaha
nayi chitwan jaha jaha, vashikaran jaha jaha
gore badan jaha jaha, tirchhe nayan jaha jaha
nayi chitwan jaha jaha, vashikaran jaha jaha
o waha waha inka mukam
shayam ji ka kya kahna
mathura me janme gokul me khele
phir aaye dwaarika dham
shayam ji ka kya kahna
gopiyo ke pyar me makhan chura ke
duniya me hue badnam
shayam ji ka kya kahna
kya kahna o ho kya kahna
shayam ji ka kya kahna