Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bada Bedard Jahaan Hai Yahaan Insaaf Kahaan Hai
|
Lata Mangeshkar | Ravi | Meena Kumari | |||
Chiragh Kahan Roshni Kahan (1959) | Prem Dhawan | Shikwa Shikayat Songs, Sad Songs | |||||
bada bedard jahaan hai yaha insaaf kaha hai
mujhe o duniya waale waapas bula le
bada bedard jahaan hai yaha insaaf kaha hai
mujhe o duniya waale waapas bula le
bada bedard jahaan hai yaha insaaf kaha hai
aag lage sansaar ko andha jiska nyaay
aag lage sansaar ko andha jiska nyaay
yaha to maa ki maamta dhan se tauli jaaye
dhan se tauli jaaye
ye kaisa jag hai vidhata pyaar maa ka thukrata
mujhe o duniya waale waapas bula le
bada bedard jahaan hai yaha insaaf kaha hai
ma ho kar main ma nahi phut gaye mere bhaag
ma ho kar main ma nahi phut gaye mere bhaag
le gaye zalim chhin ke ghar ka mere chiraag
ghar ka mere chiraag
gaya mere nain ka tara hua mera ghar andhiyara
mujhe o duniya waale waapas bula le
bada bedard jahaan hai yaha insaaf kaha hai
tum bin mere laadale suna mera jahaan
tum bin mere laadale suna mera jahaan
kise sunaayu loriya kaun kahe mujhe maa
kaun kahe mujhe maa
koi mera dard na jaane kise jaayu samajhaane
mujhe o duniya waale waapas bula le
bada bedard jahaan hai yaha insaaf kaha hai