Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bachpan Ka Haseen Manzar
|
Shishir Parkhie | Shishir Parkhie | ||||
Siyahat A Journey Through Emotions (Album) (0) | Koshish | Ghazals | |||||
bachpan ka hasin manzar
bachpan ka hasin manzar
suhaana yaad aata hain
musalsal phir wahin kissa
purana yaad aata hain
bachpan ka hasin manzar
suhaana yaad aata hain
chhupakar maa ke aanchal me
har ek gum ko bhula dena
chhupakar maa ke aanchal me
har ek gum ko bhula dena
wo juthe zakham par
marham lagana yaad aata hain
wo juthe zakham par
marham lagana yaad aata hain
huyi muddat ke kuchh rishate
bigad ke phir nahi bante
huyi muddat ke kuchh rishate
bigad ke phir nahi bante
wo lamho me khafa hona
manana yaad aata hain
wo lamho me khaffa hona
manana yaad aata hain
muhalif se sabhi chehre hain
apno ke parayo ke
muhalif se sabhi chehre hain
apno ke parayo ke
wo har chehre ko hi apna
banana yaad aata hain
wo har chehare ko hi apna
banana yaad aata hain
musalsal phir wahin kissa
purana yaad aata hain
bachpan ka hasin manzar
suhaana yaad aata hain
adhure khwab se bojhil si
raate so nahi paati
adhure khwab se bojhil si
raate so nahi paati
adhure khwab se bojhil si
raate so nahi paati
wo har sab khwaab ke bistar
sajana yaad aata hain
wo har sab khwaab ke bistar
sajana yaad aata hain
parstish bhi tizarat hi
khudaya hain umeedon ki
parstish bhi tizarat hi
khudaya hain umeedon ki
wo misari ki dali ko sar
jhukana yaad aata hain
wo misari ki dali ko sar
jhukana yaad aata hain
jahan ke shor me apni
sada bhi sun nahi paate
jahan ke shor me apni
sada bhi sun nahi paate
wo lori ka muqaddasa
tarana yaad aata hain
wo lori ka muqaddasa
tarana yaad aata hain
musalsal phir wahin kissa
purana yaad aata hain
bachpan ka hasin manzar
suhaana yaad aata hain
suhaana yaad aata hain
suhaana yaad aata hain