Lyrics of Bachche Man Ke Sachche - बच्चे मन के सच्चे
bachche man ke sachche
bachche man ke sachche
saari jag ki aankh ke taare
ye vo nanhe phul hai jo
bhagvaan ko lagte pyaare
bachche man ke sachche
khud ruthe, khud man jaaye, phir hamajoli ban jaaye
jhagdaa jiske saath kare, agle hi pal phir baat kare
jhagdaa jiske saath kare, agle hi pal phir baat kare
inko kisi se bair nahi, inke liye koi gair nahi
inkaa bholaapan miltaa hai, sabko baanh pasaare
bachche man ke sachche
saari jag ki aankh ke taare
ye vo nanhe phul hai jo
bhagvaan ko lagte pyaare
bachche man ke sachche
insaan jab tak bachcha hai, tab tak samajho sachha hai
jyo jyo uski umar badhe, man par jhuth ka mail chadhe
krodh badhe, nafrat ghere, laalach ki aadat ghere
bachapan in paapo se hatkar apni umar guzaare
bachche man ke sachche
saari jag ki aankh ke taare
ye vo nanhe phul hai jo
bhagvaan ko lagte pyaare
bachche man ke sachche
tan komal man sundar hai
bachche bado se behatar
iname chhut aur chhaat nahi, jhuthi jaat aur paat nahi
bhashhaa ki taqaraar nahi, mazhab ki divaar nahi
inki nazaro me ek hai, mandir masjid gurudvaare
bachche man ke sachche
saari jag ki aankh ke taare
ye vo nanhe phul hai jo
bhagvaan ko lagte pyaare
bachche man ke sachche
saari jag ki aankh ke taare
ye vo nanhe phul hai jo
bhagvaan ko lagte pyaare
bachche man ke sachche