Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Babul Bhi Roye Beti Bhi Roye
|
Kavita Krishnamurthy | Laxmikant Pyarelal | Jeetendra, Poonam Dhillon | |||
Amiri Garibi (1990) | Anand Bakshi | Marriage Songs, Sad Songs | |||||
baabul bhi roye beti bhi roye maa ke kaleje ke tukde hoye

kaisi anokhi reet ye haay koyi janam de koyi le jaaye

baabul bhi roye beti bhi roye
itne laadon se jisko paala aaj usi ko ghar se nikaala

ham kya chiz hain raaje mahaaraaje
beti ko ghar mein rakh na paaye
baabul bhi roye beti bhi roye maa ke kaleje ke tukde hoye
baabul bhi roye beti bhi roye
pichhe rah gaya pyaar puraana aage jeevan path anjaana

saath duwayein le ja sabki aur to koi saath na aaye
baabul bhi roye beti bhi roye maa ke kaleje ke tukde hoye
baabul bhi roye beti bhi roye
bhaai bahan ki bichhdi jodi rah gayi dil mein yaadein thodi

jaane ye taqdir nigodi phir kab bichde meet milaaye
baabul bhi roye beti bhi roye maa ke kaleje ke tukde hoye
kaisi anokhi reet ye haay koyi janam de koyi le jaaye
baabul bhi roye beti bhi roye maa ke kaleje ke tukde hoye
baabul bhi roye beti bhi roye
ye haathon ki chand lakiren inmein likhin sabki taqdirein

kaagaz ho to phaad ke phenkun kaagaz ho to phaad ke phenkun
hath ka likha kaun mitaaye