Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Baasuri Ke Sur Mein Itana Dard Kyun Hai
|
Zubeen Garg | Siddharth Suhas | ||||
YMI - Yeh Mera India (2009) | Chandra N | ||||||
kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein
itna dard kyun hai
kabhi socha hai ke sukhe is sharir mein
itna ehsaas kyun hai
kabhi chhuti thi ye daali apne patton se
kabhi tuti thi ye daali ye apni shaakhon se
phir aaj bhi hawa ke jhonke se
suro par ye machalati kyun hai
kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein
itna dard kyun hai
hontho se laga lo to ye chehak uthti hai
ungaliyon ke chhune se ye behak uthti hai
hontho se laga lo to ye chehak uthti hai
ungaliyon ke chhune se ye behak uthti hai
par jakhm se uske aaj bhi nikalti sirf tarz kyun hai
kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein
itna dard kyun hai
apno ne hi chalaayi thi kulhaadi is par
phir usi ne chhedi thi raag dhaani is par
apno ne hi chalaayi thi kulhaadi is par
phir usi ne chhedi thi raag dhaani is par
apna hi tha ye insaan phir bhi itna
khudgarj kyun hai
kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein
itna dard kyun hai
kabhi socha hai ke sukhe is sharir mein
itna ehsaas kyun hai
kabhi chhuti thi ye daali apne patton se
kabhi tuti thi ye daali ye apni shaakhon se
phir aaj bhi hawa ke jhonke se
suro par ye machalati kyun hai
kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein
itna dard kyun hai