Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aye Mere Meharbaan Ab Na Le Imthan
|
N Datta | |||||
Raju (1967) | Sahir Ludhianvi | ||||||
aey mere meharbaan ab na le imtihan
hum bhi tere huye dil bhi tera hua
ab hame aazmana hai kya
aey mere meharbaan
shaam ke saaye dhalne lage
dard karwat badalne lage
shaam ke saaye dhalne lage
dard karwat badalne lage
jab chali thandi thandi hawa
dil ke armaan machalne lage
saans ghutney lagi aas chhutne lagi
is qadar bhi satana hai kya
aey mere meharbaan ab na le imtihan
hum bhi tere huye dil bhi tera hua
ab hame aazmana hai kya
aey mere meharbaan
jab pukaaro chale aayenge
dil ki dhadkan mein lehraayenge
jab pukaaro chale aayengedil ki
dhadkan mein lehraayenge
hum kisi haal mein bhi rahen
door tum se na reh paayenge
tum bulaati raho jee lubhaati raho
to khushi ka thikana hai kya
aey mere meharbaan ab na le imtihan
hum bhi tere huye dil bhi tera hua
ab hame aazmana hai kya
aey mere meharbaan
tum milo to miley roshni
tum hanso to hanse har kali
tum ruko to zamana rukey
tum chalo to chale zindagi
tum jo hum se miley mit gaye sab gile
ab hame aur pana hai kya
aey mere meharbaan ab na le imtihan
hum bhi tere huye dil bhi tera hua
ab hame aazmana hai kya
aey mere meharbaan