Lyrics of Aye Dost, Hass Ke Zara Sab Se Mil - ए दोस्त, हँस के ज़रा सब से मिल
aye dost hass ke zara sab se mil
toofan hi mile ya sahil
khafa hone se kya hasil, hass ke tu mil
ye duniya ka khela hai haar jit ka rela
tu har hal mein gaate jana
aye dost hass ke zara sab se mil
hass ke tu mil
thokar se kanpe chalenge phir kya
anjam soche padenge phir kya
gum se jo seheme hassenge phir kya
jane ka darr ho jiyenge phir kya
ye duniya haiwani par jina hai phir bhi jani
tu har haal mein gaate jana
aye dost hass ke zara sab se mil
hass ke tu mil
ye zindagi hai hassi rehguzar
gum aur khushi raah mein do shehar
dono mein kuch pal to thehrega tu
behtar hai gum se bhi hass ke guzar
hai do lakh abhi basha ye ajab ajab tamasha
tu har haal mein gaate jana
aye dost hass ke zara sab se mil
hass ke tu mil
naakaami ko tu hairaan kar
maayusiyon ko pareshaan kar
himmat ka apani hi le imtihaan
kuchh pal andhera ho bilkul na darr
ho roshan yeh chehra bas khila khila sa yaara
tu har haal mein gaate jaana ho
aye dost hass ke jara sabse mil
toofan hi mile ya sahil
khafa hone se kya hasil, hass ke tu mil
ye duniya ka khela hai haar jit ka rela
tu har haal mein gaate jana
aye dost hass ke zara sab se mil
hass ke tu mil