Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ashaar Mere Yun To Zamaane Ke Liye Hain
|
Mukesh Chand Mathur | Khayyam | ||||
Non-film (M (0) | Jan Nisar Akhtar | ||||||
ashayaar mere yu to zamaane ke liye hai
kuchh sher fakat unko sunaane ke liye hai

ab ye bhi nahi thik ke har dard mitaa de

kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hai
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hai
ashayaar mere yu to zamaane ke liye hai
aankho me jo bhar loge to kaanto se chubhege

ye khwaab to palko pe sajaane ke liye hai
ye khwaab to palko pe sajaane ke liye hai
ashayaar mere yu to zamaane ke liye hai
dekhu tere haatho ko to lagtaa hai tere haath

mandir me fakat deep jalaane ke liye hai
mandir me fakat deep jalaane ke liye hai
ashayaar mere yu to zamaane ke liye hai
socho to badi chiz hai tahjib badan ki
socho to badi chiz hai tahjib badan ki
varnaa to badan aag bujhaane ke liye hai