Lyrics of Arthi Banke Dulhan Ki Doli - अर्थी बनके दुल्हन की डोली
arthi banke dulhan ki doli
raah chali shamshan ki
jalegi kab tak isi aag me
beti hindustan ki, beti hindustan ki
jalegi kab tak isi aag me
beti hindustan ki, beti hindustan ki
roj yaha bikta hai dulha
jiska naam hai shaadi
aisi shaadi ko samjhe hum
shaadi ya barbadi
roj yaha bikta hai dulha
jiska naam hai shaadi
aisi shaadi ko samjhe hum
shaadi ya barbadi
nainsafi kab tak aisi
nainsafi kab tak aisi
maalik tere vidhan ki
jalegi kab tak isi aag me
beti hindustan ki, beti hindustan ki
dar dar dulhe ki talash e
bapu umar gawaye
bebas maa aansu me dube
aur bhai bik jaye
dar dar dulhe ki talash e
bapu umar gawaye
bebas maa aansu me dube
aur bhai bik jaye
duniya kya kya julm kare
duniya kya kya julm kare
kah kar marji bhagwan ki
jalegi kab tak isi aag me
beti hindustan ki, beti hindustan ki
jane kis anyayi ne bedard ye niyam nikala
ghar garib ka fukegi kab tak dahej ki jwala
jane kis anyayi ne bedard ye niyam nikala
ghar garib ka fukegi kab tak dahej ki jwala
jaan ka sauda, ho
jaan ka sauda karegi kab tak
rasm ye kanyadan ki
jalegi kab tak isi aag me
beti hindustan ki, beti hindustan ki
jalegi kab tak isi aag me
beti hindustan ki, beti hindustan ki
jalegi kab tak isi aag me