Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Arre Ha Jalao Deep
|
Manna Dey, Bhupinder Singh | Usha Khanna | ||||
Fareb (1968) | Asad Bhopali | ||||||
are ha jalao deep
charago karo zamane me are e bahar aayi hai
mere garibkhane me samjhe mere laal
meri mehbuba
meri mehbuba aaj mere ghar aayi
o meri mehbuba aaj mere ghar aayi
are noteo ke haar isko pahna do yaar
ik pari aasma se utar aayi
meri mehbuba aaj mere ghar aayi
chahta hu main isko dilo jaan se
chahta hu main
chahta hu main isko dilo jaan se
iski khatir main duniya se takraunga ha
dekhne wale munh takte rah jayenge
is hasina ko main leke ud jaunga
is hasina ko main leke ud jaunga
pyar leke meri humsafar aayi
o pyar leke meri humsafar aayi
ik pari aasma se utar aayi
meri mehbuba aaj mere ghar aayi
shaadi hogi humari badi dhum se
shaadi hogi
shaadi hogi humari badi dhum se
band baaje bajenge maja aayega
o jab bhi gujrenge hum banke dulha dulhan
shehar me ek hungama ho jayega
shehar me ek hungama ho jayega
aaj barso ki ummed dar aayi
ho aaj barso ki ummed dar aayi
ik pari aasma se utar aayi
meri mehbuba aaj mere ghar aayi
lag na jaye kisi manchale ki najar
lag na jaye
lag na jaye kisi manchale ki najar
main rakhunga ise do jaha se pare
chand par hoga bangla mere chand ka
is jami se alag aasma se pare
is jami se alag aasma se pare
meri manzil mujhe ab najar aayi
ho meri manzil mujhe ab najar aayi
are noteo ke haar isko pahna do yaar
ik pari aasma se utar aayi
meri mehbuba aaj mere ghar aayi
ho meri mehbuba aaj mere ghar aayi