Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Apno Ko Jo Thukrayega, Gairo Ki Thokare Khayega
|
Mohammed Rafi | Laxmikant Pyarelal | Jeetendra, Rekha | |||
Judaai (1980) | Anand Bakshi | Sad Songs | |||||
apno ko jo thukrayega gairo ki
thokare khayega
apno ko jo thukrayega gairo ki
thokare khayega
ek pal ki galatfaimi ke liye
sara jivan pachhatayega
ek pal ki galatfaimi ke liye
sara jivan pachhatayega
apno ko jo thukrayega gairo ki
thokare khayega
tune samjha hai jit jise wo
ban jayegi har kabhi
tune samjha hai jit jise wo
ban jayegi har kabhi
ye mann tera abhiman tera
tujhpe hi karega var kabhi
ye chot sahi na jayegi ye
dard saha na jayega
apno ko jo thukrayega gairo ki
thokare khayega
shadi do din ka mel nahi
gudde-gudiya ka khel nahi
ye pyar do insano ka ye ishk
nahi divano ka
isme jid ka kuchh kam nahi yeh
jivan hai sangram nahi
bhuloge toh kho jaoge tum dur bahut ho jaoge
tum dur bahut ho jaoge
bachchon ke sath gujar kab tak ye
denge sath magar kab tak
jab wo bhi ho jayenge bade tum
sochoge yeh dur khade
kya sach hai kya sapna hai abb
duniya me kya apna hai
isliye yeh bandhan mat todo
apni maryada mat chhod o
isaliye yeh bandhan mat todo
apni maryada mat chhod o
aapas me jo takaraoge
to tut ke bas rah jaoge
to tut ke bas rah jaoge