Lyrics of Apni Dhun Me Gaye Ja - अपनी धुन में गाए जा
apni dhun me gaaye ja
agar tujhko gana hai
koi nahi tera is duniya me
jag begana hai, o manav jag begana hai
apni dhun me gaaye ja
agar tujhko gana hai
koi nahi tera is duniya me
jag begana hai, o manav jag begana hai
koi kahe hai tujhko apna
aur koi paraya re
waqt pade to sangat chhode
waqt pade to sangat chhode
khud ka saya re
dukh tere bachpan ka sathi
dukh tere bachpan ka sathi
dukh se kya ghabrana hai
koi nahi tera is duniya me
jag begana hai, o manav jag begana hai
manjil tujhse dur musafir
sambhal ke chal fir jaayega
rishta nata sangi sathi
rishta nata sangi sathi
koi bhi kaam naa aayega
jo kuch paya is duniya me
jo kuch paya is duniya me
chhod ke ek din jana hai
koi nahi tera is duniya me
jag begana hai, o manav jag begana hai
apni dhun me gaaye ja
agar tujhko gana hai
koi nahi tera is duniya me
jag begana hai, o manav jag begana hai