Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Apne Toote Huye Khuwaboon Se
|
Bhupinder Singh | |||||
Chandni Raat (2000) | Ghazals | ||||||
apne toote huye khwaabo se pashemaan hu mai
apne toote huye khwaabo se pashemaan hu mai
rojgaare gham-e duniya se pareshaan hun mai
ab mohabbat ke liye waqt kahaan se laau
naa wo ehsaas naa wo jazbaat ki
tufaan rahe aarju-e rahi dil me na wo armaan rahe
tum jo bichhade to palat kar kabhi dekha hi nahi
mai bhi samjha ki kisi ne mujhe chaaha hi nahi
thes kya dil pe lagi kaise tumhe batlaau
ab mohabbat ke liye waqt kahaan se laau
phul khilte nahi shaakho se bikhar jaane par
koi chadhata nahih najro se utar jaane par
phir se gujre huye mausam kabhi laut sake
ajnabi banke aankho se jo wo dur huye
apne khoye huye lamho ko kahan se laau
ab mohabbat ke liye waqt kahaan se laau
hum tujhe bhool gaye
hum tujhe bhool gaye ahde wafaa bhool gaye
ab dilo jaan lutaane ki ada bhool gaye
aise uljhe haqi nayi raaho ke pencho kham me
koi lajak hai khushi me naa maja hai gham me
aise haalat me is dil ko kahaan bahalaau
ab mohabbat ke liye waqt kahaan se laau
apne toote huye khwaabo se pashemaan hu mai
rojgaare gham-e duniya se pareshaan hun mai
ab mohabbat ke liye waqt kahaan se laau