Lyrics of Angdaai Bhi Vo Lene Na Paye (Kya Kya Nigahe Shauk) - अंगडाई भी वो लेने ना पाये (क्या क्या निगाहें शौक)
kya kya nigahe shauk luti hai haya ke hath
ye kya hua ke ruk gayi deen-e-takaa ke hath
angdaai bhi vo lene na paae uthaa ke haath

dekhaa mujhe to chhod diye muskaraa ke haath

baato me aise ho gaye madhhosh dekhiye
baato me aise ho gaye madhhosh dekhiye
baato me aise ho gaye madhhosh dekhiye
afsanaa gair kaa vo samajh kar sunaa kiye

aaya jo meraa naam to bas uth ke chal diye

jhunjhala ke, taish khaa ke, bigad ke, chhuda ke haath
jhunjhala ke, taish khaa ke, bigad ke, chhuda ke haath
angdaai bhi vo lene na paae uthaa ke haath
dekhaa mujhe to chhod diye muskaraa ke haath
angdaai bhi vo lene na paae uthaa ke haath
parda thaa par naqaab se kuchh husn chhin pada

bekal hue to rah gayaa sab baankpan padaa

shikavo kaa jab jawab na kuchh unse ban padaa

gardan me meri daal diye muskaraa ke haath
gardan me meri daal diye muskaraa ke haath
angdaai bhi vo lene na paae uthaa ke haath
dekhaa mujhe to chhod diye muskaraa ke haath
angdaai bhi vo lene na paae uthaa ke haath
saaki ko samjhe, ye nahi har aadmi kaa kaam

nakshab ko kis adaa se inaayat kiyaa thaa jaam

denaa kisi kaa sagar-e-may yaad hai nizaam

munh pher kar udhar ko, idhar ko badhaa ke haath