Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Andheri Raat Sawan Ki Ghata
|
Talat Aziz, Sadhana Sargam | Laxmikant Pyarelal | ||||
Dhun (1991) | Anand Bakshi | ||||||
andheri raat sawan ki ghata is dil pe chai hai
andheri raat sawan ki ghata is dil pe chai hai
na jane aaj kis bhule sanam ki yaad aai hai
andheri raat sawan ki
barsate hai udhar badal idhar ye dil tarasta hai
barsate hai udhar badal idhar ye dil tarasta hai
har ek lamha meri tanhaiyo ko aaj dasta hai
jaha par jakham tha maine jaha par jakham tha maine
vahi par chot khai hai
andheri raat sawan ki ghata is dil pe chai hai
andheri raat sawan ki
dikhaye khwab aur phir khwab ki duniya mita dali
dikhaye khwab aur phir khwab ki duniya mita dali
jala kar dil me shama pyar ki aur phir bujha dali
ye kaisi rasm jalim ne ye kaisi rasm jalim ne
mohabbat ki nibhai hai
andheri raat sawan ki ghata is dil pe chai hai
andheri raat sawan ki
are o aasma vale kaha tera thikana hai
are o aasma vale kaha tera thikana hai
luta jata hai vo bhi paas jo dil ka khajana hai
ye jina kaisa jina hai ye jina kaisa jina hai
duhai hai duhai hai
andheri raat sawan ki ghata is dil pe chai hai
na jane aaj kis bhule sanam ki yaad aai hai
andheri raat sawan ki