Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Amrit Aur Zahar Donon Hain
|
Lata Mangeshkar | Chitalkar Ramchandra | Ajit, Nalini Jaywant | |||
Nastik (1954) | Kavi Pradeep | Religious Songs | |||||
amrit aur zahar dono hai
sagar me ek sath manthan ka adhikar hai
sab ko phal prabhu tere hath
tere phulo se bhi pyar tere katon se bhi pyar
jo bhi dena chahe de de kartar
duniya ke taranhar
tere phulo se bhi pyar tere katon se bhi pyar
jo bhi dena chahe de de kartar
duniya ke taranhar duniya ke taranhar
chahe sukh de ya dukh chahe khushi de ya gam
chahe sukh de ya dukh chahe khushi de ya gam
malik jaise bhi rakhega vaise rah lege ham
malik rah lege ham chahe hansi bhara sansar
de ya ansuo ki dhar jo bhi dena chahe de de kartar
duniya ke taranhar duniya ke taranhar
tere phulo se bhi pyar tere katon se bhi pyar
jo bhi dena chahe de de kartar
duniya ke taranhar duniya ke taranhar
ham ko dono hai pasad teri dhup aur chhanv
ham ko dono hai pasad teri dhup aur chhanv
data kisi bhi disha me le chal zindagi ki nav
le chal zindagi ki nav
chahe hame laga de par duba de
chahe hame majhdhar
jo bhi dena chahe de de kartar duniya ke taranhar
tere phulo se bhi pyar tere katon se bhi pyar
jo bhi dena chahe de de kartar
duniya ke taranhar duniya ke taranhar