Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Allah Jane Kya Hoga Aage
|
Mukesh Chand Mathur, Lata Mangeshkar | Shankar Jaikishan | Manoj Kumar | |||
Hariyali Aur Rasta (1962) | Hasrat Jaipuri | ||||||
ibteda-e-ishk me ham sari raat jage
allah jane kya hoga aage
oh maula jane kya hoga aage
dil me teri ulfat ke bandhne lage dhage
allah jane kya hoga aage
oh maula jane kya hoga aage
ibteda-e-ishk me ham
kya kahu kuch kaha nahi jaye
bin kahe bhi raha nahi jaye
kya kahu kuch kaha nahi jaye
bin kahe bhi raha nahi jaye
raat bhar karvat mai badlu
dard dil kaa saha nahi jaye
nind meri aankho se dur dur bhage
allah jane kya hoga aage
oh maula jane kya hoga aage
dil me teri ulfat ke bandhne lage dhage
allah jane kya hoga aage
oh maula jane kya hoga aage
ibteda-e-ishk me ham
dil me jagi prit ki jwala
jabse maine hosh sambhala
dil me jagi prit ki jwala
jabse maine hosh sambhala
mai hu tere pyar ki seema
tu mera raahi matwala
mere man ki vina me tere raag jage
allah jane kya hoga aage
oh maula jane kya hoga aage
ibteda-e-ishk me ham sari raat jage
allah jane kya hoga aage
oh maula jane kya hoga aage
ibteda-e-ishk me ham
tune jab jab aankh milayi
dil se ek awaj ye aayi
tune jab jab aankh milayi
dil se ek awaj ye aayi
chal ke ab taro me rahenge
pyar ke ham do saudayi
mujhko teri surat bhi chand raat lage
allah jane kya hoga aage
oh maula jane kya hoga aage
ibteda-e-ishk me ham sari raat jage
allah jane kya hoga aage
oh maula jane kya hoga aage
ibteda-e-ishk me ham