Lyrics of Ajmer Wale Khwaja - अजमेर वाले ख्वाजा
suraj yaha chirag jalata hai shaam ko
aate hai aasma se sitare salam ko
mashoor hai jaha me karamat hujur ki
duniya ko paalti hai sakhawat hazoor ki
ek banjh ma ko phul sa baccha adaa kiya
pal bhar me ek sukhe chaman ko hara kiya
mannat utarte huye baccha fisal gaya
shan-e-karam ne sambhala sambhal gaya
jalim kaja ka jor bhi chalne nahi diya
bachhe ko garam ret me jalne nahi diya
khali hai jo muraad ki jholi use bharo
har badnasib maa pe nigaah-e-sharm karo
har badnasib maa, har badnasb maa pe
nigaah-e-sharm karo
ajmer wale khwaja sun le meri duhai
mai tere aastha par, mai teri aastha par
mamta ki lash le kar fariyaad karne aayi
ajmer wale khwaja sun le meri duhai
ajmer wale khwaja sun le meri duhai
ae jalwa-e-khudayi
ae jalwa-e-khudayi
ek maa ke aansuo me sikhve hai bebasi ke
marte rahe jo yu hi armaan mere jee ke
har saans me banega, har saans me banega
ek din majaar mera, ae jalwa-e-khudayi
ajmer wale khwaja sun le meri duhai
ajmer wale khwaja sun le meri duhai
ae jalwa-e, ae jalwa-e-khudayi
ae jalwa-e-khudayi
ek baduaa bani hai ye kaisi jindagi
jab jab bahaar aayi kyu bijali tutti hai
dil todti hai kismat, dil todti hai kismat
kyu baar baar mera, ae jalwa-e-khudayi
ajmer wale khwaja sun le meri duhai
ajmer wale khwaja sun le meri duhai
ae jalwa-e, ae jalwa-e-khudayi
ae jalwa-e-khudayi
thodi si roshani ke pichhe pade hai saaye
jab muskurayi aankhe aansu bhi sath aaye
aakhir kasur kya hai, aakhir kasur kya hai
parvardigaar mera, ae jalwa-e-khudayi
ajmer wale khwaja sun le meri duhai
ajmer wale khwaja sun le meri duhai