Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aji Sunte Ho
|
Bappi Lahiri | |||||
Raja Aur Rana (1984) | Verma Malik | ||||||
haye haye haye haye haye haye
aji sunte ho o aji sunte ho
ha sunta hu aji sunte ho
lekar tum akhbar ka panna
race ke ghode ginte ho
o aji sunte ho
koi vaidh bualo koi doctor laao
hakim mangao aji sunte ho
mujhe nauwa laga hai ek dard jaga hai
haye yaha se utha aur yaha gaya hai
shadi na hoti main aaj na roti
dulhan na banti bacche na janti
zalim ye mahina mera dhadke hai sina
tu dekhle apna ye kaarnama
kyu mujhe fansaya kar kar ke drama
ki tune mujhse kartut hai koi
tu mard nahi hai jin bhut hai koi
o aji sunte ho o aji sunte ho
ha sunta hu
oye ab kyu roti hai meri dulhan
pyari tumhe yaad nahi aati
ab kyu roti hai meri dulhan
pyari tumhe yaad nahi aati
wo baate sari har roj tu kahti
mujhe sair kara de mujhe ticket manga de
mujhe film dikha de
chal india gate pe jara ghum ke aaye
aur tajmahal me hum khana khaye
tu surkhi laali powder bhi lagati
aur daal ke surma tu teer chalati
tu karke fashion har roj aa jati
aur kahti le chal mujhe juhu chaupati
waha pani puri tu khub udati
kabhi idli dosa kabhi kulfi khati
main ho gaya kadka palle nahi payi
tera sair sapata kha gaya kamayi
bhul gayi tu jab maje udati
ab dard utha to phir kyu chillati
main sunta hu
jeb me kitne paise rah gaye
baitha baitha ginta hu
main sunta hu
munnu ke papa tera karu syapa
mujhe hichki aaye mera ji machlaye
mujhe saans na aaye mera sar chakraye
mera munh bedardi kya halat kar di
main baithi baithi khau hichkaule
koi amma amma ander se bole
tu roj ye kahta ke munda hoga
agar tujhpe gaya wo koi gunda hoga
main aath mahine mushkil se bitaye
tu pyar se ek din nahi puchhne aaye
o aji sunte ho
koi vaidh bualo koi doctor laao
hakim mangao aji sunte ho
kyu taane deti sapno ki rani
tere dushman mar jaye teri jeeye jawani
pahla aur duja jab tumhe laga tha
na tujhko khabar thi
na mujhko pata tha
phir tije mahine meri khinch rajai
tune aadhi raat ko khushkhabri sunai
aur chauthe paanchve jab tu ghabrai
aur chhathe mahine tujhe ulti aayi
main bhag ke aaya tujhe pass bulaya
tujhe malish ki thi tujhe tel lagaya
chhodo ab gussa aa tujhe sula du
tu thak chuki hai tere paanv daba du
biwi ke har koi hai paanv dabata
tu tel lagake ehsaan jatata
kis baat ke liye phir tu akadta
gharwala hoke mere sar pe chadhta
aurat ka farz hai baccho ko janna
koi tune anokha nahi kaam ye karna
mere pass na aana batti na bujhana
mujhe siti bajake nahi kabhi bulana
meri tauba tauba kaano ko pakdu
hai meri galti main naak bhi ragdu
jharo na bhashan ka milta rashan
hai ye situation karwao operation
dono nasbandi chalkar karwaye
kyu apne desh ki aabadi badhaye
is mehangai me ek baccha kaafi
aage se tauba aage se maafi
aage se tauba aage se maafi
aage se tauba aage se maafi