Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aji Ruth Kar Ab Kaha Jaaiyega
|
Lata Mangeshkar | Shankar Jaikishan | Rajendra Kumar, Sadhana | |||
Arzoo (1965) | Hasrat Jaipuri | Romantic Songs, Roothna Manaana | |||||
aji ruth kar ab kaha jaiyega
jaha jaiyega hame paiyega
aji ruth kar ab kaha jaiyega
jaha jaiyega hame paiyega
aji ruth kar ab
nigaho se chhupkar dikhao to jane
khayalo me bhi tum na aao to jane
aji lakh pardo me chhup jaiyega
aji lakh pardo me chhup jaiyega
nazar aiyega nazar aiyega
aji ruth kar ab kaha jaiyega
jaha jaiyega hame paiyega
aji ruth kar ab
jo dil me hai hoto pe lana bhi mushkil
magar usko dil me chhupana bhi mushkil
nazar ki zuban se samajh jaiyega
nazar ki zuban se samajh jaiyega
samajh kar zara gaur farmaiyega
aji ruth kar ab kaha jaiyega
jaha jaiyega hame paiyega
aji ruth kar ab kaha jaiyega
jaha jaiyega hame paiyega
aji ruth kar ab
ye kaisa nasha hai ye kaisa asar hai
na kabu me dil hai na bas me nazar hai
jara hosh aane ke le jaiyega
jara hosh aane ke le jaiyega
thehar jaiyega thehar jaiyega
aji ruth kar ab kaha jaiyega
jaha jaiyega hame paiyega
aji ruth kar ab kaha jaiyega
jaha jaiyega hame paiyega
aji ruth kar ab