Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aisi Koi Baat Jo Kabhi Na Suni Ho
|
Kishore Kumar, Lata Mangeshkar | Laxmikant Pyarelal | Hema Malini, Dharmendra | |||
Maa (1976) | Anand Bakshi | Romantic Songs | |||||
aisi koi baat jo kabhi na suni ho
keh de mere kaano mein chupake se chori se
taaron bhari raat mein chalo pehle sun le
kahe aasmaano mein chanda kya chakori se
aisi koi baat jo kabhi na suni ho
keh de mere kaano mein chupake se chori se
aisi koi baat
honto pe meri saansein rukane lagi hain
sapno se bojhal palakein jhukane lagi hai
isi tarah nind aati hai kaliyon ko
rut ke taraano mein bahaaron ki lori se
aisi koi baat jo kabhi na suni ho
keh de mere kaano mein chupake se chori se
aisi koi baat
kehate hai log kuch phul nahi khilate
aise jaise din aur raat nahi milate
din aur raat yun milate hai chupake
jaise khaliyaano mein piya mile gori se
taaron bhari raat mein chalo pehale sun le
kahe aasmaano mein chanda kya chakori se
aisi koi baat
main toh chali aayi kiya tune ishara
main toh chali aayi kiya tune ishara
hoga kya jo maine tujhko pukaara
jab karu yaad main khincha chala aau
bandha armaano mein najaron ki dori se
aisi koyi baat jo kabhi na suni ho
keh de mere kaano mein chupake se chori se
taaron bhari raat mein chalo pehale sun le
kahe aasmaano mein chanda kya chakori se
aisi koi baat