Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Aise To Na Dekho, Ke Bahak Jaaen Kahin Ham
|
Suman Kalyanpur, Mohammed Rafi | Roshan | Pradeep Kumar, Ashok Kumar, Meena Kumari | |||
Bheegee Raat (1965) | Majrooh Sultanpuri | Romantic Songs | |||||
aise to na dekho ke bahak jaye kahi hum
aakhir ko ik insa hai farishta to nahi hum
haaye aise na kaho baat ke mar jaye yahi hum
aakhir ko ik insa hai farishta to nahi hum
angdaai si leti hai jo khushboo bhari zulfe
khushboo bhari zulfe
girti hai tere surkh labo par teri zulfe
labo par teri zulfe
zulfe na teri chum le
zulfe na teri chum le ae mahjabi hum
aakhir ko ik insa hai farishta to nahi hum
sun sun ke teri baat nasha chhaane laga hai
nasha chhaane laga hai
khud apne pe bhi pyar sa kuchh aane laga hai
aane laga hai
rakhna hai kahi paanv to
rakhna hai kahi paanv to rakhte hai kahi hum
aakhir ko ik insa hai farishta to nahi hum
bheega sa jo hai naaz ye halka sa pasina
ye halka sa pasina
haaye ye naachti aankho ke bhavar dil ka safina
dil ka safina
socha hai ke ab dub ke
socha hai ke ab dub ke reh jaye yahi hum
aakhir ko ik insa hai farishta to nahi hum
haaye aise na kaho baat ke mar jaye yahi hum
aakhir ko ik insa hai farishta to nahi hum