Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Agar Tha Unko Jaana
|
Lalita Phadke | Sudhir Phadke | ||||
Maya Bazar (1949) | Mukhram Sharma | ||||||
agar tha unko jana hi
khushi se wo chale jate
magar jane se pahle hame
kuch to kah jate
kuch aur nahi to
ye sahi rote rahe aur yaad karo
tum rote rahe aur yaad karo
hansi hontho pe aayi thi
nahi ham muskura paye
nahi ham muskura paye
khushi aankho mein chhai thi
magar ham dekh na paye
magar ham dekh na paye
chhalke aansu aur kah ke gire
rote rahe aur yaad karo
chhalke aansu aur kah ke gire
rote rahe aur yaad karo
tum rote rahe aur yaad karo
siskne bhi nahi pate
tadpane bhi nahi pate
tadpane bhi nahi pate
kahani apne sukh dukh ki
kisi se kah nahi paate
kisi se kah nahi paate
murjhai kali man ki kahke
rote rahe aur yaad karo
murjhai kali man ki kahke
rote rahe aur yaad karo
tum rote rahe aur yaad karo
lagi aasha hame unki
lagi aasha hame unki
na jite hai na marte
wo jaye wo jaye
unhi ki yaad karte hai
ek baar wo aake kah jaye
rote rahe aur yaad karo
ek baar wo aake kah jaye
rote rahe aur yaad karo
tum rote rahe aur yaad karo