Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Agar Aah Karte Badnaam Hote
|
Bela Sawer, Manna Dey | J P Kaushik | ||||
Basti Aur Bazaar (1973) | Siraj Agazi | Romantic Songs | |||||
agar aah karte badnaam hote
hum pathar hai hum nahi rote
hum nahi rote
agar aah karte badnaam hote
hum pathar hai hum nahi rote
hum nahi rote
mili hai jo mayus majbur nazre
ye manjar qayamat se kam to nahi hai
nahi chara agar hai na humdam hai koi
nahi chara agar hai na humdam hai koi
hai gham apne sathi ye kam to nahi hai
kahan jate ye gham agar hum na hote
hum pathar hai hum nahi rote
hum nahi rote
ye saugat di hai mukddar ne humko
ghamon ke khajane hai khushiya nahi hai
thaharte nahi waqt ke taz dhaare
thaharte nahi waqt ke taz dhaare
magar marhare jindagi ke wahi hai
nahi hausle phir bhi kamjor hote
hum pathar hai hum nahi rote
hum nahi rote