Lyrics of Ae Kaash Mai Dekh Sakti - ऐ काश मैं देख सकती
main sochti hun yaha aakar jami se uthakar
aasma pe bitha dete hai log hum jaise chhote insaan ko
ae kaash mai dekh sakti
ae kaash mai dekh sakti apne meharbaano ko
ae kaash mai dekh sakti
ae kaash mai dekh sakti apne meharbaano ko
ae kaash mai dekh sakti
ae kaash mai
aapka shukariya, aapka shukariya, aapka shukariya
main is kaabil na thi ye meri mahfil na thi
aapka shukariya
shauk to hai bahut gam sunaaun koi geet gaaun koi
lekin sambhalu main kaise
lekin sambhalu main kaise bechain armaano ko
ae kaash mai dekh sakti
ae kaash mai
aapke samne, aapke saamne, aapke saamne
aa gayi hun magar dil me hai ek dar
aapke saamne
jhuth sach kya pata khwaab to ye nahi
kaise aaye yakin
gulshan bana sakta hai
gulshan bana sakta hai kya koi viraano ko
ae kaash mai dekh sakti
ae kaash mai
main to hairaan hun, main to hairaan hun, main to hairaan hun
soj kya saaj kya mera aawaz kya
main to hairaan hun
meri aankho me to pyaas hi pyaas thi
pyaas hi pyaas thi
chhalka diya kisne bhar ke
chhalka diya kisne bhar ke in khaali paimaano ko
ae kaash mai dekh sakti apne meharbaano ko
ae kaash mai dekh sakti
ae kaash mai