Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ae Jan
|
Mohammed Rafi, Mubarak Begum | Iqbal Qureshi | ||||
Qawwali Ki Raat (1964) | Shevan Rizvi | Qawwalis | |||||
aye jane nazar chilman se agar halka sa ishara ho jaye
paigame mohabbat mil jaye jine ka sahara ho jaye
aye jane nazar ye bate samjh me aa na saki
ye raz samjh me aa na saka ye bate samjh me aa na saki
ye raz samjh me aa na saka aagaze mohabbat aap kare
aur naam hamara ho jaye aagaze mohabbat
apno ke sitam duniya ke alam har rat ka rona roz ke gam
apno ke sitam duniya ke alam har rat ka rona roz ke gam
ek bar jo apna kah do hume har chij gwara ho jaye
aye jane nazar rone ko zamana rota hai
rone ka tarika hota hai rone ko zamana rota hai
rone ka tarika hota hai jo ashq nahi gire in aankho se
daman pe sitara ho jaye jo ashq nahi gire
lag jaye hamari aahat me ho jaye hamari chahat me
lag jaye hamari aahat me ho jaye hamari chahat me
jo hal hamare dil ka hai wo hal tumhara ho jaye
aye jane nazar sab hale dil apna kahte hai
ye soch ke hum chup rahte hai sab hale dil apna kahte hai
ye soch ke hum chup rahte hai dahir naam zamane walo kal
ye ishq hamara ho jaye aye jane nazar chilman se agar
halka sa ishara ho jaye paigame mohabbat mil jaye
jine ka sahara ho jaye aye jane nazar