Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ae Aankh Ab Na Rona Rona To Umr Bhar Hai
|
Chitalkar Ramchandra, Lata Mangeshkar | Chitalkar Ramchandra | ||||
Sipahiya (1949) | Rajinder Krishan | Sad Songs | |||||
ae aankh ab na rona, rona to umar bhar hai
pee jaye aansuo ko bas wo jigar jigar hai
bas wo jigar jigar hai
ae aankh ab na rona, rona to umar bhar hai
bedard zamana ya bedard meri kismat
milkar bhi mil na paye, ummed pe gujar hai
ummed pe gujar hai
ae aankh ab na rona, rona to umar bhar hai
aankho me aa ke thahro ya dil me aa ke thahro
ye bhi tumhara ghar hai wo bhi tumhara ghar hai
wo bhi tumhara ghar hai
ae aankh ab na rona, rona to umar bhar hai
hum dil to apna pahle hi tumko de chuke hai
hum dil to apna pahle hi tumko de chuke hai
ek jaan rah gayi hai to wo bhi ab najar hai
to wo bhi ab najar hai
ae aankh ab na rona, rona to umar bhar hai