Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Abhi Naa Parda Girao Thahro
|
J K Banerjee | Vasant Desai | ||||
Shaque (1977) | Gulzar | Qawwalis | |||||
abhi na parda girao thahro
ke dasta aage aur bhi hai
abhi na parda girao thahro
ke dasta aage aur bhi hai
ye ishq gujra hai ek jaha se
ek jaha aage aur bhi hai
abhi na parda girao thahro
abhi to tuti hai kachi mitti
abhi to bas jism hi gire hai
abhi to tuti hai kachi mitti
abhi to bas jism hi gire hai
abhi kayi bar marna hoga
abhi to ahsas jee rahe hai
abhi na parda girao thahro
ke dasta aage aur bhi hai
abhi na parda girao thahro
dilo ke bhatke hue musafir
abhi bahut dur tak chalenge
dilo ke bhatke hue musafir
abhi bahut dur tak chalenge
kahi to anzam ke siro se
ye zustzu ke sire milenge
abhi na parda girao thahro
ke dasta aage aur bhi hai
abhi na parda girao thahro
gira do parda ke dasta
khali ho gayi hai
gira do parda ke dasta
khali ho gayi hai
gira do parda ke
khubsurat udas chehre
kahi khalao me gum gaye hai
gira do parda ke dasta
khali ho gayi hai
hawaye apne suro se uthkar
chali gayi hai
hawaye apne suro se uthkar
chali gayi hai
gairb aankho se ruth kar
ek ek aasu utar gaya hai
gira do parda ke
khubsurat udas chehre
kahi khalao me gum gaye hai
gira do parda ke dasta
khali ho gayi hai
bas ke ahsas ki khamoshi
kahi gunjti hai
bas ek ahsas ki khamoshi
kahi gujti hai
kisi adhuri si ek tasvir me
andhera jal raha hai
gira do parda ke
khubsurat udas chehre
kahi khalao me gum gaye hai
gira do parda ke dasta
khali ho gayi hai